Ganapti bappaa moryaa ... ganapti apne gaanv chale

गणपति बप्पा मोरया ... गणपति अपने गाँव चले
Work
Year
Language

गणपति बप्पा मोरया, पुड्च्या वर्षी लौकरया
मोरया रे, बप्पा मोरया रे -4

गणपति अपने गाँव चले, कैसे हमको चैन पड़े
जिसने जो माँगा उसने वो पाया,
रस्ते पे हैं सब लोग खड़े

गणपति बप्पा दुख हरता, दुख हरता भाई दुख हरता

दस दिन घर में आन रहे, भक्‌तों के मेहमान रहे
सारे शहर में धूम मची, जोश से जनता झूम उठी
उनको प्यारे सब इंसान राजा रंक हैं एक समान
दुख हरता भाई दुख हरता

किसी को कुछ वरदान दिया, किसी को कोई ज्ञान दिया
हैं चले सभी को ख़ुश करके, खाली खाली झोलियों को भरके
आयेंगे साल के बाद इधर, लोग करेंगे याद मगर

थोड़े ही दिन रहे, थोड़े दिनों में करके चले ये काम बड़े
सारे घर उनको घर हैं, उनको एक बराबर हैं
ऊँचे महल अमीरों के हों या हम गरीबन के झोपड़े

मस्त पवन ये फिर ले आई, मौजों की नैया लाई
गणपति उस पार चले, लेकर सबका प्यार चले
सफल हुई सबकी पूजा, ऐसा न कोई बिन दूजा
घटा गगन पर लहराई, घड़ी विसर्जन की आई
भूल चूक हो माफ़ हमारी, हम सब हैं बड़े नादान बड़े

gaṇapti bappā moryā, puḍchyā varṣhī laukaryā
moryā re, bappā moryā re -4

gaṇapti apne gāṇv chale, kaise hamko chain paṛe
jisne jo māṇgā usne vo pāyā,
raste pe haiṅ sab log khaṛe

gaṇapti bappā dukh hartā, dukh hartā bhāī dukh hartā

das din ghar meṅ ān rahe, bhak‌toṅ ke mehmān rahe
sāre śhahar meṅ dhūm machī, jośh se jantā jhūm uṭhī
unko pyāre sab iṅsān rājā raṅk haiṅ ek samān
dukh hartā bhāī dukh hartā

kisī ko kuchh vardān diyā, kisī ko koī jñān diyā
haiṅ chale sabhī ko khuśh karke, khālī khālī jholiyoṅ ko bharke
āyeṅge sāl ke bād idhar, log kareṅge yād magar

thoṛe hī din rahe, thoṛe dinoṅ meṅ karke chale ye kām baṛe
sāre ghar unko ghar haiṅ, unko ek barābar haiṅ
ūṇche mahal amīroṅ ke hoṅ yā ham garīban ke jhopaṛe

mast pavan ye phir le āī, maujoṅ kī naiyā lāī
gaṇapti us pār chale, lekar sabkā pyār chale
saphal huī sabkī pūjā, aisā na koī bin dūjā
ghaṭā gagan par lahrāī, ghaṛī visarjan kī āī
bhūl chūk ho māf hamārī, ham sab haiṅ baṛe nādān baṛe