Gadhon par baith kar ham ... dekho-dekho hazoor

गधों पर बैठ कर हम ... देखो-देखो हज़ूर्
Year
Language

र: गधों पर बैठ कर हम शहर के चक्‌कर लगाएँगे
हो ही इसी क़ाबिल
हमें तुमसे मुहब्बत है ये दुनिया को बताएँगे
क़ुरबान जाऊँ तुम्हारे बताने पे
श: देखो-देखो हज़ूर ये हैं खट्टे अंगूर
अजी छोड़ो ये हाथ नहीं आएँगे
र: ओ मेरी जन्नत की हूर तू है अरबी खज़ूर
तेरे साए में ज़िन्दगी बिताएँगे
श: देखो-देखो हज़ूर …

र: अच्छा लगे है मुझे ओ मेरी बुलबुल
गाना तेरा चहचहाना तेरा
श: अच्छा लगे न मुझे ओ पीछे-पीछे
आना तेरा खिलखिलाना तेरा -2
र: तेरी आँखें बिल्लूर मीठे-मीठे अंगूर
इन्हें शरबत बना के पी जाएँगे
श: देखो-देखो हज़ूर …

र: भूला नहीं है मुझे नज़रें झुका कर
आना तेरा मुस्कुराना तेरा -2
श: मुझको भी याद है पहला तमाचा
खाना तेरा भाग जाना तेरा -2
र: जो करेगी क़बूल हम बन के लंगूर
तेरे कूचे में उधम मचाएँगे
श: देखो-देखो हज़ूर …

ra: gadhoṅ par baiṭh kar ham śhahar ke chak‌kar lagāeṇge
ho hī isī qābil
hameṅ tumse muhabbat hai ye duniyā ko batāeṇge
qurbān jāūṇ tumhāre batāne pe
śha: dekho-dekho hazūr ye haiṅ khaṭṭe aṅgūr
ajī chhoṛo ye hāth nahīṅ āeṇge
ra: o merī jannat kī hūr tū hai arbī khazūr
tere sāe meṅ zindgī bitāeṇge
śha: dekho-dekho hazūr …

ra: achchhā lage hai mujhe o merī bulbul
gānā terā chahachhānā terā
śha: achchhā lage na mujhe o pīchhe-pīchhe
ānā terā khilkhilānā terā -2
ra: terī āṇkheṅ billūr mīṭhe-mīṭhe aṅgūr
inheṅ śharbat banā ke pī jāeṇge
śha: dekho-dekho hazūr …

ra: bhūlā nahīṅ hai mujhe nazreṅ jhukā kar
ānā terā muskurānā terā -2
śha: mujhko bhī yād hai pahlā tamāchā
khānā terā bhāg jānā terā -2
ra: jo karegī qabūl ham ban ke laṅgūr
tere kūche meṅ udham machāeṇge
śha: dekho-dekho hazūr …