गाफ़िल तुझे घड़ियाल ये ... किसके लिए रुका है
ग़ाफ़िल तुझे घड़ियाल ये देता है मुनादी
गरदूँ ने घड़ी उम्र की एक और घटा दी
किसके लिए रुका है किसके लिए रुकेगा
करना है जो भी कर ले ये वक़्त जा रहा है -2
पानी का बुलबुला है इन्साँ की ज़िन्दगानी
दम भर का ये फ़साना पल भर की ये कहानी
हर साँस साथ अपने पैग़ाम ला रहा है
करना है जो भी …
दुनिया बुरा कहे तो इल्ज़ाम ये उठा ले
खुद मिट के भी किसी की तू ज़िन्दगी बचा ले
दिल का चिराग़ तुझको रस्ता दिखा रहा है
करना है जो भी …
काँटे जो बोये तूने तो फूल कैसे पाए
तेरे गुनाह ही आख़िर हैं आज रंग लाए
अब सोच में क्यूँ पगले घड़ियाँ गंवा रहा है
करना है जो भी …
ġhāfil tujhe ghaṛiyāl ye detā hai munādī
gardūṇ ne ghaṛī umr kī ek aur ghaṭā dī
kiske lie rukā hai kiske lie rukegā
karnā hai jo bhī kar le ye vaqt jā rahā hai -2
pānī kā bulbulā hai insāṇ kī zindgānī
dam bhar kā ye fasānā pal bhar kī ye kahānī
har sāṇs sāth apne paiġhām lā rahā hai
karnā hai jo bhī …
duniyā burā kahe to ilzām ye uṭhā le
khud miṭ ke bhī kisī kī tū zindgī bachā le
dil kā chirāġh tujhko rastā dikhā rahā hai
karnā hai jo bhī …
kāṇṭe jo boye tūne to phūl kaise pāe
tere gunāh hī ākhir haiṅ āj raṅg lāe
ab soch meṅ kyūṇ pagle ghaṛiyāṇ gaṅvā rahā hai
karnā hai jo bhī …