गाए जा गीत मिलन के, तू अपनी लगन के
सजन घर जाना है
काहे छलके नैनों की गगरी, काहे बरसे जल
तुझ बिन सुनी साजन की नगरी, परदेसिया घर चल
प्यासे हैं दीप गगन के, तेरे दर्शन के
सजन घर जाना है
लूट ना जाए जीवन का डेरा, मुझको है यह ग़म
हम अकेले ये जग लुटेरा, बिछड़े ना मिलके हम
बिगड़े नसीब ना बनके, ये दिन जीवन के
सजन घर जाना है
डोले नैना प्रीतम के द्वारे, मिलने की है धून
बालम तेरा तुझको पुकारे, याद आनेवाले सुन
साथी मिलेंगे बचपन के, खिलेंगे फूल मन के
सजन घर जाना है
गाए जा गीत मिलन के, तू अपनी लगन के
Work
Year
Language
gāe jā gīt milan ke, tū apnī lagan ke
sajan ghar jānā hai
kāhe chhalke nainoṅ kī gagrī, kāhe barse jal
tujh bin sunī sājan kī nagrī, pardesiyā ghar chal
pyāse haiṅ dīp gagan ke, tere darśhan ke
sajan ghar jānā hai
lūṭ nā jāe jīvan kā ḍerā, mujhko hai yah ġham
ham akele ye jag luṭerā, bichhaṛe nā milke ham
bigaṛe nasīb nā banke, ye din jīvan ke
sajan ghar jānā hai
ḍole nainā prītam ke dvāre, milne kī hai dhūn
bālam terā tujhko pukāre, yād ānevāle sun
sāthī mileṅge bachapan ke, khileṅge phūl man ke
sajan ghar jānā hai