गा रहा हूँ इस महफ़िल में आपकी मोहब्बत है
गा रहा हूँ इस महफ़िल में आपकी मोहब्बत है
आज हूँ मैं जो कुछ भी वो आपकी इनायत है
ज़िन्दगी से कैसा शिक़वा खुद से ही शिकायत है
आज हूँ मैं जो कुछ …
प्यार की वो सौगातें किस तरह भुला दूँ मैं
आपका हर एक आँसू पलकों पे उठा लूँ मैं
आपके ही दम से तो ये आज मेरी शोहरत है
आज हूँ जो कुछ भी …
कितने रंग हैं जीवन के ये अजब कहानी है
कुछ मिले तो कुछ खो जाए रीत ये पुरानी है
किसको क्या मिला यहाँ सब अपनी अपनी क़िस्मत है
आज हूँ जो कुछ भी …
काश फिर कोई नग़मा इस फ़िज़ा में लहराए
दूर से सही लेकिन आपकी सदा आए
मेरे दिल की हर धड़कन अब आपकी अमानत है
आज हूँ जो कुछ भी …
gā rahā hūṇ is mahafil meṅ āpkī mohabbat hai
āj hūṇ maiṅ jo kuchh bhī vo āpkī ināyat hai
zindgī se kaisā śhiqvā khud se hī śhikāyat hai
āj hūṇ maiṅ jo kuchh …
pyār kī vo saugāteṅ kis tarah bhulā dūṇ maiṅ
āpkā har ek āṇsū palkoṅ pe uṭhā lūṇ maiṅ
āpke hī dam se to ye āj merī śhohrat hai
āj hūṇ jo kuchh bhī …
kitne raṅg haiṅ jīvan ke ye ajab kahānī hai
kuchh mile to kuchh kho jāe rīt ye purānī hai
kisko kyā milā yahāṇ sab apnī apnī qismat hai
āj hūṇ jo kuchh bhī …
kāśh phir koī naġhmā is fizā meṅ lahrāe
dūr se sahī lekin āpkī sadā āe
mere dil kī har dhaṛkan ab āpkī amānat hai
āj hūṇ jo kuchh bhī …