Ek ladkee bheegee bhaagee see, sotee raaton men jaagee see

एक लडकी भीगी भागी सी, सोती रातों में जागी सी
Year
Language

एक लड़की भीगी भागी सी, सोती रातों में जागी सी
मिली एक अजनबी से, कोई आगे ना पीछे
तुम ही कहो ये कोई बात है

दिल ही दिल में जली जाती है
बिगड़ी बिगड़ी चली आती है
झुंझलाती हुई, बलखाती हुई
सावन की सुनी रात में

डगमग डगमग लहकी लहकी
भूली भटकी, बहकी बहकी
मचली मचली, घर से निकली
पगली सी काली रात में

तन भीगा है, सर गीला है
उसका कोई पेंच भी ढीला है
तनती झुकती, चलती रुकती
निकली अंधेरी रात में

ek laṛkī bhīgī bhāgī sī, sotī rātoṅ meṅ jāgī sī
milī ek ajanbī se, koī āge nā pīchhe
tum hī kaho ye koī bāt hai

dil hī dil meṅ jalī jātī hai
bigaṛī bigaṛī chalī ātī hai
jhuṅjhlātī huī, balkhātī huī
sāvan kī sunī rāt meṅ

ḍagamag ḍagamag lahkī lahkī
bhūlī bhaṭkī, bahkī bahkī
machlī machlī, ghar se niklī
paglī sī kālī rāt meṅ

tan bhīgā hai, sar gīlā hai
uskā koī peṅch bhī ḍhīlā hai
tantī jhuktī, chaltī ruktī
niklī aṅdherī rāt meṅ