Ek dil do hain talabgaar baree mushkil hai

एक दिल दो हैं तलबगार बड़ी मुश्किल है
Work
Year
Language

स: एक दिल दो हैं तलबगार बड़ी मुश्किल है
त: कश्मकश में है मेरा प्यार बड़ी मुश्किल है

आऽ
त: ढूँढती हैं तुझे हर सू मेरी प्यासी आँखें
कैसे हो अब तेरा दीदार बड़ी मुश्किल है

आऽ
स: दिल में जो कुछ है ज़बाँ पर नहीं लाया जाता
घुट के दम तोड़ न दे प्यार बड़ी मुश्किल है

आऽ
त: सामने है मेरे अरमानों की मन्ज़िल लेकिन -2
मुफ़्लिसी बन गई दीवार बड़ी मुश्किल है

sa: ek dil do haiṅ talabgār baṛī muśhkil hai
ta: kaśhmkaśh meṅ hai merā pyār baṛī muśhkil hai

ā'
ta: ḍhūṇḍhtī haiṅ tujhe har sū merī pyāsī āṇkheṅ
kaise ho ab terā dīdār baṛī muśhkil hai

ā'
sa: dil meṅ jo kuchh hai zabāṇ par nahīṅ lāyā jātā
ghuṭ ke dam toṛ na de pyār baṛī muśhkil hai

ā'
ta: sāmne hai mere armānoṅ kī manzil lekin -2
muflisī ban gaī dīvār baṛī muśhkil hai