Ek chhail-chhabeelaa ... albele sainyaan jhulnaa jhulaa jaa re

एक छैल-छबीला ... अलबेले सैंयाँ झुलना झुला जा रे
Work
Year
Language

एक छैल-छबीला

सु: अलबेले सैंयाँ झुलना झुला जा रे
को: अलबेले सैंयाँ झुलना झुला जा रे
सु: आई रिमझिम
को: हो आई रिमझिम
सु: हो
आई रिमझिम रुत अब आ जा
को: अलबेले सैंयाँ झुलना झुला जा रे -2

सु: झूलूँ अकेले
झूलूँ अकेले कैसे हिंडोला
आ जा रे बालम ले कर डोला
को: आ जा रे बालम ले कर डोला
सु: आ जा रे बालम ले कर डोला
को: ले कर डोला
सु: हो पिया-मिलन के दिन हैं सजनिया
हो पाहु ले घुँघटा बन जा दुल्हनिया
को: हो पाहु ले घुँघटा बन जा दुल्हनिया
सु: जो है छुप-छुप
को: हो जो है छुप-छुप
सु: हो
जो है छुप-छुप देखे तोरा राजा
को: अलबेले सैंयाँ झुलना झुला जा रे -2

सु: प्रेम का झूला डाल के मन में
डाल के मन में
को: प्रेम का झूला डाल के मन में
सु: आऊँ गगन से जाऊँ गगन में
हो
आऊँ गगन से जाऊँ गगन में
को: आऊँ गगन से जाऊँ गगन में
सु: ओ
आगे बढ़ूँ तो दरशन पी के
पीछे हटूँ तो सब रंग फीके
को: होय
पीछे हटूँ तो सब रंग फीके
सु: मोरी आँखों में
को: मोरी आँखों में
सु: हो
मोरी आँखों में बलमा समाँ जा
को: अलबेले सैंयाँ झुलना झुला जा रे -3

ek chhail-chhabīlā

su: albele saiṅyāṇ jhulnā jhulā jā re
ko: albele saiṅyāṇ jhulnā jhulā jā re
su: āī rimjhim
ko: ho āī rimjhim
su: ho
āī rimjhim rut ab ā jā
ko: albele saiṅyāṇ jhulnā jhulā jā re -2

su: jhūlūṇ akele
jhūlūṇ akele kaise hiṅḍolā
ā jā re bālam le kar ḍolā
ko: ā jā re bālam le kar ḍolā
su: ā jā re bālam le kar ḍolā
ko: le kar ḍolā
su: ho piyā-milan ke din haiṅ sajniyā
ho pāhu le ghuṇghṭā ban jā dulhniyā
ko: ho pāhu le ghuṇghṭā ban jā dulhniyā
su: jo hai chhup-chhup
ko: ho jo hai chhup-chhup
su: ho
jo hai chhup-chhup dekhe torā rājā
ko: albele saiṅyāṇ jhulnā jhulā jā re -2

su: prem kā jhūlā ḍāl ke man meṅ
ḍāl ke man meṅ
ko: prem kā jhūlā ḍāl ke man meṅ
su: āūṇ gagan se jāūṇ gagan meṅ
ho
āūṇ gagan se jāūṇ gagan meṅ
ko: āūṇ gagan se jāūṇ gagan meṅ
su: o
āge baṛhūṇ to daraśhan pī ke
pīchhe haṭūṇ to sab raṅg phīke
ko: hoy
pīchhe haṭūṇ to sab raṅg phīke
su: morī āṇkhoṅ meṅ
ko: morī āṇkhoṅ meṅ
su: ho
morī āṇkhoṅ meṅ balmā samāṇ jā
ko: albele saiṅyāṇ jhulnā jhulā jā re -3