Ek but banaaoongaa teraa aur poojaa karoongaa

एक बुत बनाऊँगा तेरा और पूजा करूँगा
Work
Year
Language

एक बुत बनाऊँगा तेरा और पूजा करूँगा
मर जाऊँगा प्यार अगर मैं दूजा करूँगा

रूप की चांदी, प्यार का सोना, प्रेम नगर से ला के
तेरी सुंदर छबी बनेगी दोनों चीज़ मिला के
रंग वफ़ा का मैं तेरी मूरत में भरूँगा

मन मंदिर में तुझको बिठा के रोज करूँगा बातें
शाम सवेरे हर मौसम में होंगी मुलाक़ातें
दिल का हाल कहूंगा तुझसे मैं ना डरूँगा

दुनिया एक अजायबखाना, लेकिन फिर भी फानी
इस धरती पर अमर रहेगी मेरी प्रेमकहानी
चाहे जितने रूप में आऊँ तेरा रहूँगा

ek but banāūṇgā terā aur pūjā karūṇgā
mar jāūṇgā pyār agar maiṅ dūjā karūṇgā

rūp kī chāṅdī, pyār kā sonā, prem nagar se lā ke
terī suṅdar chhabī banegī donoṅ chīz milā ke
raṅg vafā kā maiṅ terī mūrat meṅ bharūṇgā

man maṅdir meṅ tujhko biṭhā ke roj karūṇgā bāteṅ
śhām savere har mausam meṅ hoṅgī mulāqāteṅ
dil kā hāl kahūṅgā tujhse maiṅ nā ḍarūṇgā

duniyā ek ajāyabkhānā, lekin phir bhī phānī
is dhartī par amar rahegī merī premakhānī
chāhe jitne rūp meṅ āūṇ terā rahūṇgā