एक बार रख दे क़दम ज़रा झूम के
र: एक बार रख दे क़दम ज़रा झूम के
एक बार चल दे तू धरती को चूम के
रस्ता तेरा है मंज़िल तेरी है
सूरज कितना जवाँ कितना हसीं है ये उजाला
गलियाँ कब से पुकारें आए कोई दिलवाला
राही ये दिन कैसा मतवाला
हिम्मत वाले चला चल नीले अम्बर के साए-साए
कबसे तुझको निहारे धरती चुनरिया बिछाए
यूँ चल के दुनिया तेरे पीछे-पीछे आए
ल: जीना चाहे जो जग में जीवन मिला उसे कैसे
ऐसे आँचल उड़ाओ नाचे सावन रुत जैसे
र: सुन लो घुँघरू बोलें कैसे-कैसे
एक बार रख दे …
ra: ek bār rakh de qadam zarā jhūm ke
ek bār chal de tū dhartī ko chūm ke
rastā terā hai maṅzil terī hai
sūraj kitnā javāṇ kitnā hasīṅ hai ye ujālā
galiyāṇ kab se pukāreṅ āe koī dilvālā
rāhī ye din kaisā matvālā
himmat vāle chalā chal nīle ambar ke sāe-sāe
kabse tujhko nihāre dhartī chunriyā bichhāe
yūṇ chal ke duniyā tere pīchhe-pīchhe āe
la: jīnā chāhe jo jag meṅ jīvan milā use kaise
aise āṇchal uṛāo nāche sāvan rut jaise
ra: sun lo ghuṇghrū boleṅ kaise-kaise
ek bār rakh de …