Duniyaa men sabhee chehre ... duniyaa isee kaa naam hai

दुनिया में सभी चेहरे ... दुनिया इसी का नाम है
Work
Year
Language

मु: दुनिया में सभी चेहरे लगते तो हैं पहचाने
शा: क्‌यों फिर भी हैं अनजाने ये बात वही जाने
दो: दुनिया इसी का नाम है दुनिया इसी को कहते हैं
अपने ही अपनों से यहाँ बेगाने जैसे रहते हैं
दुनिया इसी का नाम …

मु: जो हम चाहें जो तुम चाहो वो कब होता है दुनिया में
शा: मुक़द्दर के इशारों पे ये सब होता है दुनिया में
दो: ये सब होता है दुनिया में
दुनिया इसी का नाम …

मु: कभी उस मोड़ पर लूटा गया है कारवाँ दिल का
जहाँ से दो क़दम ही फ़ासला बाक़ी था मंज़िल का
शा: यहाँ कहती है ख़ामोशी हज़ारों ग़म के अफ़साने
मगर इसी बात का मतलब कोई बेदर्द क्‌या जाने
दो: दुनिया इसी का नाम …

mu: duniyā meṅ sabhī chehre lagte to haiṅ pahchāne
śhā: k‌yoṅ phir bhī haiṅ anjāne ye bāt vahī jāne
do: duniyā isī kā nām hai duniyā isī ko kahte haiṅ
apne hī apnoṅ se yahāṇ begāne jaise rahte haiṅ
duniyā isī kā nām …

mu: jo ham chāheṅ jo tum chāho vo kab hotā hai duniyā meṅ
śhā: muqaddar ke iśhāroṅ pe ye sab hotā hai duniyā meṅ
do: ye sab hotā hai duniyā meṅ
duniyā isī kā nām …

mu: kabhī us moṛ par lūṭā gayā hai kārvāṇ dil kā
jahāṇ se do qadam hī fāslā bāqī thā maṅzil kā
śhā: yahāṇ kahtī hai khāmośhī hazāroṅ ġham ke afsāne
magar isī bāt kā matalab koī bedard k‌yā jāne
do: duniyā isī kā nām …