Duniyaa ke saare ghamon se begaanaa ho main hoon mastaanaa

दुनिया के सारे ग़मों से बेगाना हो मैं हूँ मस्ताना
Work
Year
Language

दुनिया के सारे ग़मों से बेगाना
हो मैं हूँ मस्ताना -2

जीता हूँ दुनिया में अपनी ख़ुशी से
ना दुश्मन किसी का ना उल्फ़त किसी से -2
दिन-रात मेरा यही है तराना
हो मैं हूँ मस्ताना …

नाशाद हूँ मैं दिलशाद हूँ मैं
दुनिया के झगड़ों से आज़ाद हूँ मैं -2
ये सारा जहाँ है मेरा आशियाना
हो मैं हूँ मस्ताना …

जीना या मरना हँसना-रोना
होता रहेगा हो कुछ है होना -2
खाएंगे हम और कमाए ज़माना
हो मैं हूँ मस्ताना …

duniyā ke sāre ġhamoṅ se begānā
ho maiṅ hūṇ mastānā -2

jītā hūṇ duniyā meṅ apnī khuśhī se
nā duśhman kisī kā nā ulfat kisī se -2
din-rāt merā yahī hai tarānā
ho maiṅ hūṇ mastānā …

nāśhād hūṇ maiṅ dilśhād hūṇ maiṅ
duniyā ke jhagaṛoṅ se āzād hūṇ maiṅ -2
ye sārā jahāṇ hai merā āśhiyānā
ho maiṅ hūṇ mastānā …

jīnā yā marnā hṇsnā-ronā
hotā rahegā ho kuchh hai honā -2
khāeṅge ham aur kamāe zamānā
ho maiṅ hūṇ mastānā …