Duniyaa kare savaal to ham k‌yaa javaab den

दुनिया करे सवाल तो हम क्‌या जवाब दें
Work
Year
Language

दुनिया करे सवाल तो हम क्‌या जवाब दें
तुमको न हो ख़याल तो हम क्‌या जवाब दें
दुनिया करे सवाल …

पूछे कोई कि दिल को कहाँ छोड़ आये हैं
किस किस से अपना रिश्ता-ए-जाँ तोड़ आये हैं
मुशकिल हो अर्ज़-ए-हाल तो हम क्‌या जवाब दें
तुमको न हो ख़याल तो …

पूछे कोई कि दर्द-ए-वफ़ा कौन दे गया
रातों को जागने की सज़ा कौन दे गया
कहने से हो मलाल तो हम क्‌या जवाब दें
तुमको न हो ख़याल तो …

duniyā kare savāl to ham k‌yā javāb deṅ
tumko na ho khayāl to ham k‌yā javāb deṅ
duniyā kare savāl …

pūchhe koī ki dil ko kahāṇ chhoṛ āye haiṅ
kis kis se apnā riśhtā-e-jāṇ toṛ āye haiṅ
muśhkil ho arz-e-hāl to ham k‌yā javāb deṅ
tumko na ho khayāl to …

pūchhe koī ki dard-e-vafā kaun de gayā
rātoṅ ko jāgne kī sazā kaun de gayā
kahne se ho malāl to ham k‌yā javāb deṅ
tumko na ho khayāl to …