Duniyaa kare savaal to ham kyaa javaab de

दुनिया करे सवाल तो हम क्या जवाब दे
Work
Year
Language

दुनिया करे सवाल तो हम क्या जवाब दे
तुम कौन हो ख़याल तो हम क्या जवाब दे

पूछे कोई के दिल को कहाँ छोड़ आये हैं
किस किस से अपना रिश्ता-ए-जान जोड़ आये हैं
मुश्किल हो अर्ज-ए-हाल तो हम क्या जवाब दे

पूछे कोई दर्द-ए-वफ़ा कौन दे गया
रातों को जागने की सजा कौन दे गया
कहने पे हो मलाल तो हम क्या जवाब दे

duniyā kare savāl to ham kyā javāb de
tum kaun ho khayāl to ham kyā javāb de

pūchhe koī ke dil ko kahāṇ chhoṛ āye haiṅ
kis kis se apnā riśhtā-e-jān joṛ āye haiṅ
muśhkil ho arj-e-hāl to ham kyā javāb de

pūchhe koī dard-e-vafā kaun de gayā
rātoṅ ko jāgne kī sajā kaun de gayā
kahne pe ho malāl to ham kyā javāb de