Duniyaa badal rahee hai aansoo bahaane vaale

दुनिया बदल रही है आँसू बहाने वाले
Work
Year
Language

दुनिया बदल रही है आँसू बहाने वाले
आँसू बहाने वाले
तूफ़ान आँसुओं का पलकों में अब छुपा ले
आँसू बहाने वाले

( दिल मेरा तुझ से बोले
आँसू बना ले शोले ) -2
उम्मीद की किरण से ये दिल का दाग़ धो ले
इन ग़म की आँधियों में मन के दिये जला ले
आँसू बहाने वाले
तूफ़ान आँसुओं का पलकों में अब छुपा ले
आँसू बहाने वाले

( अब दूर कर अंधेरा
चमकेगा फिर सवेरा ) -2
तुझसे नज़र मिला कर भर आया दिल भी मेरा
उजड़ी जवानियों से बिगड़ी को तू बना ले
आँसू बहाने वाले
तूफ़ान आँसुओं का पलकों में अब छुपा ले
आँसू बहाने वाले

( तू भी तो अब बदल जा
ये वक़्त है सम्भल जा ) -2
रोकेगा कौन तुझको एक तीर बन के चल जा
मैं दिल का साज़ छेड़ूँ तू सुख के गीत गा ले
आँसू बहाने वाले
तूफ़ान आँसुओं का पलकों में अब छुपा ले
आँसू बहाने वाले

duniyā badal rahī hai āṇsū bahāne vāle
āṇsū bahāne vāle
tūfān āṇsuoṅ kā palkoṅ meṅ ab chhupā le
āṇsū bahāne vāle

( dil merā tujh se bole
āṇsū banā le śhole ) -2
ummīd kī kiraṇ se ye dil kā dāġh dho le
in ġham kī āṇdhiyoṅ meṅ man ke diye jalā le
āṇsū bahāne vāle
tūfān āṇsuoṅ kā palkoṅ meṅ ab chhupā le
āṇsū bahāne vāle

( ab dūr kar aṅdherā
chamkegā phir saverā ) -2
tujhse nazar milā kar bhar āyā dil bhī merā
ujaṛī javāniyoṅ se bigaṛī ko tū banā le
āṇsū bahāne vāle
tūfān āṇsuoṅ kā palkoṅ meṅ ab chhupā le
āṇsū bahāne vāle

( tū bhī to ab badal jā
ye vaqt hai sambhal jā ) -2
rokegā kaun tujhko ek tīr ban ke chal jā
maiṅ dil kā sāz chheṛūṇ tū sukh ke gīt gā le
āṇsū bahāne vāle
tūfān āṇsuoṅ kā palkoṅ meṅ ab chhupā le
āṇsū bahāne vāle