Dukhiyon pe kuchh raham karo maan-baap hamaare

दुखियों पे कुछ रहम करो माँ-बाप हमारे
Work
Year
Language

ऐ दुनिया के माँ-बाप सुनो ये देश है किशन-कन्हैया का
ये भूमी वही है प्यार जहाँ लुटता था जशोदा मैया का

लेकिन इस देश में ही अब तो ऐसे भी अभागे होते हैं
माँ-बाप के होते हुये भी जो हँसने की उमर में रोते हैं

( दुखियों पे कुछ रहम करो माँ-बाप हमारे
भूले हो जिन्हें हम वही बच्चे हैं तुम्हारे ) -2
दुखियों पे कुछ रहम करो

हम हैं वो दिये रूठ गई जिन से दीवाली -2
वो फूल हैं जिनसे यहाँ नाराज़ है माली
हम वो हैं जो प्यासे रहे गंगा के किनारे
भूले हो जिन्हें हम वही बच्चे हैं तुम्हारे
दुखियों पे कुछ रहम करो

हो
जो हो सके तुमसे तो ज़रा प्यार हमें दो -2
हम रो रहे हैं हँसने का अधिकार हमें दो
प्यार हमें दो
आँगन में तुम्हारे हैं खड़े हाथ पसारे
भूले हो जिन्हें हम वही बच्चे हैं तुम्हारे
दुखियों पे कुछ रहम करो

मइया ज़रा एक बार हमें पास बुला लो -2
बापू हमें संसार की आँधी से बचा लो
तुमको हमारी आँख का हर आँसू पुकारे

भूले हो जिन्हें हम वही बच्चे हैं तुम्हारे
दुखियों पे कुछ रहम करो माँ-बाप हमारे
भूले हो जिन्हें हम वही बच्चे हैं तुम्हारे
दुखियों पे कुछ रहम करो

ai duniyā ke māṇ-bāp suno ye deśh hai kiśhan-kanhaiyā kā
ye bhūmī vahī hai pyār jahāṇ luṭtā thā jaśhodā maiyā kā

lekin is deśh meṅ hī ab to aise bhī abhāge hote haiṅ
māṇ-bāp ke hote huye bhī jo hṇsne kī umar meṅ rote haiṅ

( dukhiyoṅ pe kuchh raham karo māṇ-bāp hamāre
bhūle ho jinheṅ ham vahī bachche haiṅ tumhāre ) -2
dukhiyoṅ pe kuchh raham karo

ham haiṅ vo diye rūṭh gaī jin se dīvālī -2
vo phūl haiṅ jinse yahāṇ nārāz hai mālī
ham vo haiṅ jo pyāse rahe gaṅgā ke kināre
bhūle ho jinheṅ ham vahī bachche haiṅ tumhāre
dukhiyoṅ pe kuchh raham karo

ho
jo ho sake tumse to zarā pyār hameṅ do -2
ham ro rahe haiṅ hṇsne kā adhikār hameṅ do
pyār hameṅ do
āṇgan meṅ tumhāre haiṅ khaṛe hāth pasāre
bhūle ho jinheṅ ham vahī bachche haiṅ tumhāre
dukhiyoṅ pe kuchh raham karo

maiyā zarā ek bār hameṅ pās bulā lo -2
bāpū hameṅ saṅsār kī āṇdhī se bachā lo
tumko hamārī āṇkh kā har āṇsū pukāre

bhūle ho jinheṅ ham vahī bachche haiṅ tumhāre
dukhiyoṅ pe kuchh raham karo māṇ-bāp hamāre
bhūle ho jinheṅ ham vahī bachche haiṅ tumhāre
dukhiyoṅ pe kuchh raham karo