Dukhee man mere, sun meraa kahnaa

दुखी मन मेरे, सुन मेरा कहना
Work
Year
Language

दुखी मन मेरे, सुन मेरा कहना
जहाँ नहीं चैना, वहाँ नहीं रहना

दर्द हमारा कोई न जाने, अपनी गरज के सब हैं दीवाने
किस के आगे रोना रोये, देस पराया लोग बेगाने

लाख यहाँ झोली फैला ले, कुछ नहीं देंगे इस जगवाले
पत्थर के दिल मोम ना होंगे, चाहे जितना नीर बहा ले

अपने लिए कब हैं ये मेले, हम हैं हर एक मेले में अकेले
क्या पाएगा उस में रह कर, जो दुनिया जीवन से खेले

dukhī man mere, sun merā kahnā
jahāṇ nahīṅ chainā, vahāṇ nahīṅ rahnā

dard hamārā koī na jāne, apnī garaj ke sab haiṅ dīvāne
kis ke āge ronā roye, des parāyā log begāne

lākh yahāṇ jholī phailā le, kuchh nahīṅ deṅge is jagvāle
patthar ke dil mom nā hoṅge, chāhe jitnā nīr bahā le

apne lie kab haiṅ ye mele, ham haiṅ har ek mele meṅ akele
kyā pāegā us meṅ rah kar, jo duniyā jīvan se khele