Dukhee man mere, sun meraa kahnaa

दुखी मन मेरे, सुन मेरा कहना
Work
Year
Language

दुखी मन मेरे सुन मेरा कहना
जहाँ नहीं चैना वहाँ नहीं रहना
दुखी मन्…

दर्द हमारा कोई न जाने
अपनी गरज के सब हैं दीवाने
किसके आगे रोना रोएं
देस पराया लोग बेगाने
दुखी मन्…

लाख यहाँ झोली फैला ले
कुछ नहीं देंगे इस जग वाले
पत्थर के दिल मोम न होंगे
चाहे जितना नीर बहाले
दुखी मन्…

अपने लिये कब हैं ये मेले
हम हैं हर इक मेले में अकेले
क्‌या पाएगा उसमें रहकर
जो दुनिया जीवन से खेले
दुखी मन्…

dukhī man mere sun merā kahnā
jahāṇ nahīṅ chainā vahāṇ nahīṅ rahnā
dukhī man…

dard hamārā koī na jāne
apnī garaj ke sab haiṅ dīvāne
kiske āge ronā roeṅ
des parāyā log begāne
dukhī man…

lākh yahāṇ jholī phailā le
kuchh nahīṅ deṅge is jag vāle
patthar ke dil mom na hoṅge
chāhe jitnā nīr bahāle
dukhī man…

apne liye kab haiṅ ye mele
ham haiṅ har ik mele meṅ akele
k‌yā pāegā usmeṅ rahkar
jo duniyā jīvan se khele
dukhī man…