Dukh jo die hain duniyaa ne main jaanoon yaa too jaane

दुख जो दिए हैं दुनिया ने मैं जानूँ या तू जाने
Work
Year
Language

दुख जो दिए हैं दुनिया ने मैं जानूँ या तू जाने

हम जैसे निर्धन दुनिया में आए क्‌यों
उससे ही पूछे कोई उसने बनाए क्‌यों
ग़म अपने सुख बेगाने मैं जानूँ या तू जाने

रस्ता ही आँगन रस्ता ही घर है
कहाँ-कहाँ भटके किसको ख़बर है
फ़रियादें हैं या गाने मैं जानूँ या तू जाने

औरों के दुमहले और रंग-रलियाँ
हमको मिली हैं अंधियारी गलियाँ
बरबादी के अफ़साने मैं जानूँ या तू जाने
दुख जो दिए हैं …

dukh jo die haiṅ duniyā ne maiṅ jānūṇ yā tū jāne

ham jaise nirdhan duniyā meṅ āe k‌yoṅ
usse hī pūchhe koī usne banāe k‌yoṅ
ġham apne sukh begāne maiṅ jānūṇ yā tū jāne

rastā hī āṇgan rastā hī ghar hai
kahāṇ-kahāṇ bhaṭke kisko khabar hai
fariyādeṅ haiṅ yā gāne maiṅ jānūṇ yā tū jāne

auroṅ ke dumahle aur raṅg-raliyāṇ
hamko milī haiṅ aṅdhiyārī galiyāṇ
barbādī ke afsāne maiṅ jānūṇ yā tū jāne
dukh jo die haiṅ …