Do din ke liye mahmaan yahaan

दो दिन के लिये महमान यहाँ
Work
Year
Language

दो दिन के लिये महमान यहाँ
मालूम नहीं मंज़िल है कहाँ
अरमान भरा दिल तो है मगर
जो दिल से मिले वो दिल है कहाँ

एक फूल जला एक फूल खिला
कुछ अपना लुटा कुछ उनको मिला
कैसे करें क़िसमत से गिला
हम कैसे करें क़िसमत से गिला
रंगीन हर एक महफ़िल है कहाँ
दो दिन के लिये …

दुनिया में सवेरा होने लगा
इस दिल में अंधेरा होने लगा
हर ज़ख्म सिसक के रोने लगा
किस मुँह से कहे क़ातिल है कहाँ
दो दिन के लिये …

जलता है जिगर उठता है धुआँ
आँखों से मेरी आँसू है रवाँ
मरने से हो जाये दफ़ा
जो मरने से हो जाये दफ़ा
ऐसी ये मेरी मुश्किल है कहाँ
दो दिन के लिये …

do din ke liye mahmān yahāṇ
mālūm nahīṅ maṅzil hai kahāṇ
armān bharā dil to hai magar
jo dil se mile vo dil hai kahāṇ

ek phūl jalā ek phūl khilā
kuchh apnā luṭā kuchh unko milā
kaise kareṅ qismat se gilā
ham kaise kareṅ qismat se gilā
raṅgīn har ek mahafil hai kahāṇ
do din ke liye …

duniyā meṅ saverā hone lagā
is dil meṅ aṅdherā hone lagā
har zakhm sisak ke rone lagā
kis muṇh se kahe qātil hai kahāṇ
do din ke liye …

jaltā hai jigar uṭhtā hai dhuāṇ
āṇkhoṅ se merī āṇsū hai ravāṇ
marne se ho jāye dafā
jo marne se ho jāye dafā
aisī ye merī muśhkil hai kahāṇ
do din ke liye …