Do dil mil rahe hain magar chupke chupke

दो दिल मिल रहे हैं मगर चुपके चुपके
Work
Year
Language

दो दिल मिल रहे हैं, मगर चुपके चुपके
सब को हो रही है खबर चुपके चुपके

सासों में बड़ी बेकरारी, आँखों में कई रत जगे
कभी कहीं लग जाये दिल तो, कहीं फिर दिल ना लगे
अपना दिल मैं ज़रा थाम लूँ, जादू का मैं इसे नाम दूँ
जादू कर रहा है असर चुपके चुपके

ऐसे भोले बनकर हैं बैठे जैसे कोई बात नहीं
सबकुछ नज़र आ रहा है, दिन है ये रात नहीं
क्या है कुछ भी नहीं है अगर, होठों पे है खामोशी मगर
बाते कर रही हैं, नज़र चुपके चुपके

कहीं आग लगने से पहले, उठता है ऐसा धुआँ
जैसा है इधर का नज़ारा, वैसा ही उधर का समा
दिल में कैसी कसक सी जगी, दोनो जानिब बराबर लगी
देखो तो इधर से उधर चुपके चुपके

do dil mil rahe haiṅ, magar chupke chupke
sab ko ho rahī hai khabar chupke chupke

sāsoṅ meṅ baṛī bekrārī, āṇkhoṅ meṅ kaī rat jage
kabhī kahīṅ lag jāye dil to, kahīṅ phir dil nā lage
apnā dil maiṅ zarā thām lūṇ, jādū kā maiṅ ise nām dūṇ
jādū kar rahā hai asar chupke chupke

aise bhole bankar haiṅ baiṭhe jaise koī bāt nahīṅ
sabkuchh nazar ā rahā hai, din hai ye rāt nahīṅ
kyā hai kuchh bhī nahīṅ hai agar, hoṭhoṅ pe hai khāmośhī magar
bāte kar rahī haiṅ, nazar chupke chupke

kahīṅ āg lagne se pahle, uṭhtā hai aisā dhuāṇ
jaisā hai idhar kā nazārā, vaisā hī udhar kā samā
dil meṅ kaisī kasak sī jagī, dono jānib barābar lagī
dekho to idhar se udhar chupke chupke