Do ankhiyaan jhukee-jhukee see

दो अंखियाँ झुकी-झुकी सी
Work
Year
Language

मु: दो अंखियाँ झुकी-झुकी सी -2
कलियों से नाज़ुक होंठों पर कविता रुकी-रुकी सी
दो अंखियाँ झुकी …

शरमाती पलकों में सपने जब आँख-मिचौली खेलें
लहराती ज़ुल्फ़ें मुखड़े को साए में जब ले लें
इक ख़ुश्बू उड़ी-उड़ी सी
दो अंखियाँ झुकी …

ल: मेरे दिल की ख़ामोशी में हलचल कौन मचाए
इक धुँधली सी तस्वीर बने और बनकर मिट जाए
इक हसरत दबी-दबी सी
मु: दो अंखियाँ झुकी …

एक पल लागे अपनी-अपनी और दूजे पल बेगानी
कुछ अंजानी सी सूरत है कुछ जानी पहचानी
पास आकर छुपी-छुपी सी
दो अंखियाँ झुकी …

mu: do aṅkhiyāṇ jhukī-jhukī sī -2
kaliyoṅ se nāzuk hoṅṭhoṅ par kavitā rukī-rukī sī
do aṅkhiyāṇ jhukī …

śharmātī palkoṅ meṅ sapne jab āṇkh-michaulī kheleṅ
lahrātī zulfeṅ mukhaṛe ko sāe meṅ jab le leṅ
ik khuśhbū uṛī-uṛī sī
do aṅkhiyāṇ jhukī …

la: mere dil kī khāmośhī meṅ halchal kaun machāe
ik dhuṇdhlī sī tasvīr bane aur bankar miṭ jāe
ik hasrat dabī-dabī sī
mu: do aṅkhiyāṇ jhukī …

ek pal lāge apnī-apnī aur dūje pal begānī
kuchh aṅjānī sī sūrat hai kuchh jānī pahchānī
pās ākar chhupī-chhupī sī
do aṅkhiyāṇ jhukī …