Diyaa jalaakar aap bujhaayaa

दिया जलाकर आप बुझाया
Work
Year
Language

दिया जलाकर आप बुझाया-2
तेरे काम निराले, निराले
दिल तोड़ के जानेवाले-2
दिया जलाकर आप बुझाया

फूल पवन और नदी किनारा
करत इशारे साँझ का तारा
व्याकुल है मन मेरा आजा-3
ओ छोड़ के जानेवाले
दिल तोड़ के जानेवाले -2
दिया जलाकर आप बुझाया

(डोल रही है मन की नय्या
कहाँ छुपे हो आओ ख़ेवय्या) -2
ग़म का तूफ़ाँ आने को है
छाये बादल काले -2
ओ छोड़ के जानेवाले
दिल तोड़ के जानेवाले
दिया जलाकर आप बुझाया

diyā jalākar āp bujhāyā-2
tere kām nirāle, nirāle
dil toṛ ke jānevāle-2
diyā jalākar āp bujhāyā

phūl pavan aur nadī kinārā
karat iśhāre sāṇjh kā tārā
vyākul hai man merā ājā-3
o chhoṛ ke jānevāle
dil toṛ ke jānevāle -2
diyā jalākar āp bujhāyā

(ḍol rahī hai man kī nayyā
kahāṇ chhupe ho āo khevayyā) -2
ġham kā tūfāṇ āne ko hai
chhāye bādal kāle -2
o chhoṛ ke jānevāle
dil toṛ ke jānevāle
diyā jalākar āp bujhāyā