Din pareshaan hai, raat bhaaree hai

दिन परेशां है, रात भारी है
Work
Year
Language

दिन परेशां है, रात भारी है
ज़िन्दगी है के फिर भी प्यारी है
क्या तमाशा है, कब से जारी है
ज़िन्दगी है के, फिर भी प्यारी है
इस कहानी को कौन रोकेगा
उम्र ये सारी कौन सोचेगा
साथ काटी है, या गुज़ारी है
ज़िन्दगी है के, फिर भी प्यारी है
रंगों से कहूँ, लकीरों से कहूँ
मैली-मैली सी तस्वीरों से कहूँ
बेक़रार सी, बेक़रारी है
ज़िन्दगी है के, फिर भी प्यारी है

din pareśhāṅ hai, rāt bhārī hai
zindgī hai ke phir bhī pyārī hai
kyā tamāśhā hai, kab se jārī hai
zindgī hai ke, phir bhī pyārī hai
is kahānī ko kaun rokegā
umr ye sārī kaun sochegā
sāth kāṭī hai, yā guzārī hai
zindgī hai ke, phir bhī pyārī hai
raṅgoṅ se kahūṇ, lakīroṅ se kahūṇ
mailī-mailī sī tasvīroṅ se kahūṇ
beqrār sī, beqrārī hai
zindgī hai ke, phir bhī pyārī hai