Din-din joban dhaltaa jaaye ... tere bin din naaheen beeten re

दिन-दिन जोबन ढलता जाये ... तेरे बिन दिन नाहीं बीतें रे
Work
Year
Language

दिन-दिन जोबन ढलता जाये दिन-दिन ढले जवानी
ऐ परदेसी लौट के आ जा जीवन एक कहानी

( तेरे बिन दिन नाहीं बीतें रे
तेरे बिन बीतें न रातें ) -2
कब परदेसी घर आओगे -2
कब होंगी मुलाकातें

मुझे चंदा डराये -2
मोरा सूनी अटरिया पे जिया घबराये -2
हाय-हाय
( छम-छम नीर बरसाऊँ मैं
याद आयें बीती बातें ) -2

मुँह देखी की थारी प्रीत जानी है जानी है -2
आजा आजा आजा -2
जा के न आये जवानी मस्तानी है -2
कब आयेंगे दिन वो जिया पूछे
कब होंगी मुलाकातें

तेरे बिन दिन नाहीं बीतें रे
तेरे बिन बीतें न रातें
कब परदेसी घर आओगे -2
कब होंगी मुलाकातें

din-din joban ḍhaltā jāye din-din ḍhale javānī
ai pardesī lauṭ ke ā jā jīvan ek kahānī

( tere bin din nāhīṅ bīteṅ re
tere bin bīteṅ na rāteṅ ) -2
kab pardesī ghar āoge -2
kab hoṅgī mulākāteṅ

mujhe chaṅdā ḍarāye -2
morā sūnī aṭriyā pe jiyā ghabrāye -2
hāy-hāy
( chham-chham nīr barsāūṇ maiṅ
yād āyeṅ bītī bāteṅ ) -2

muṇh dekhī kī thārī prīt jānī hai jānī hai -2
ājā ājā ājā -2
jā ke na āye javānī mastānī hai -2
kab āyeṅge din vo jiyā pūchhe
kab hoṅgī mulākāteṅ

tere bin din nāhīṅ bīteṅ re
tere bin bīteṅ na rāteṅ
kab pardesī ghar āoge -2
kab hoṅgī mulākāteṅ