Dilon men tum apnee betaabiyaan

दिलों में तुम अपनी बेताबियाँ
Year
Language

दिलों में तुम अपनी बेताबियाँ लेके चल रहे हो, तो ज़िंदा हो तुम
नज़र में ख्वाबों की बिजलियाँ लेके चल रहे हो, तो ज़िंदा हो तुम

हवा के झोकों के जैसे आज़ाद रहना सीखो
तुम एक दरियाँ के जैसे लहरों में बहना सीखो
हर एक लम्हें से तुम मिलो खोले अपनी बाहें
हर एक पल एक नया समा देखे यह निगाहें

जो अपनी आँखों में हैरानियाँ लेके चल रहे हो, तो ज़िंदा हो तुम
दिलों में तुम अपनी बेताबियाँ लेके चल रहे हो, तो ज़िंदा हो तुम

diloṅ meṅ tum apnī betābiyāṇ leke chal rahe ho, to ziṅdā ho tum
nazar meṅ khvāboṅ kī bijliyāṇ leke chal rahe ho, to ziṅdā ho tum

havā ke jhokoṅ ke jaise āzād rahnā sīkho
tum ek dariyāṇ ke jaise lahroṅ meṅ bahnā sīkho
har ek lamheṅ se tum milo khole apnī bāheṅ
har ek pal ek nayā samā dekhe yah nigāheṅ

jo apnī āṇkhoṅ meṅ hairāniyāṇ leke chal rahe ho, to ziṅdā ho tum
diloṅ meṅ tum apnī betābiyāṇ leke chal rahe ho, to ziṅdā ho tum