Dilaa do hamen bhee dulhan goree goree

दिला दो हमें भी दुल्हन गोरी गोरी
Year
Language

बड़े भैया लाये हैं लन्दन से छोरी
दिला दो हमें भी दुल्हन गोरी गोरी

जोरू बिना आधे हैं हम
जाने कब होंगे पूरे
सब तो रचाये शादी
हम ही फिरे लण्डूरे
कहीं कर न डाले हम दुल्हन की चोरी
दिला दो हमें भी …

आऽ फूले जो दोनों गाल तो मुलाल हो गया
अपना तो मारे रंज के ये हाल हो गया
आऽ देखे कोई बरात तो हम रोये ज़ार ज़ार
दुल्हन का नाम सुन सुन के दिल होये बेक़रार
पड़ूँ देखो अम्मा जी पैंया मैं तोरी
दिला दो हमें भी …

baṛe bhaiyā lāye haiṅ landan se chhorī
dilā do hameṅ bhī dulhan gorī gorī

jorū binā ādhe haiṅ ham
jāne kab hoṅge pūre
sab to rachāye śhādī
ham hī phire laṇḍūre
kahīṅ kar na ḍāle ham dulhan kī chorī
dilā do hameṅ bhī …

ā' phūle jo donoṅ gāl to mulāl ho gayā
apnā to māre raṅj ke ye hāl ho gayā
ā' dekhe koī barāt to ham roye zār zār
dulhan kā nām sun sun ke dil hoye beqrār
paṛūṇ dekho ammā jī paiṅyā maiṅ torī
dilā do hameṅ bhī …