Dil par huaa aisaa jaadoo

दिल पर हुआ ऐसा जादू
Year
Language

दिल पर हुआ ऐसा जादू तबियत मचल मचल गई
नज़रें मिली क्या किसीसे के हालत बदल बदल गई
कल तक हमारा न पूछ कैसा हाल था
मिलती कहीं आँख दिल को ये मलाल था
उसने जो देखा तो हसरत निकल गई
सुन प्यारे अपनी तो किस्मत बदल गयी
कैसी है उल्फ़त की दिल्ल्गी ये हमनशीं
वो हो गई मेरी और उसे खबर नहीं
जालिम मोहब्बत भी क्या चाल चल गई
सुन प्यारे अपनी तो किस्मत बदल गयी
मिलती है आहट सी प्यारे उसके पाँव की
दिल में चमकती है बिजलियाँ अदाओं की
होगा उजाला की अब रात ढल गयी
सुन प्यार अपनी तो किस्मत बदल गयी

dil par huā aisā jādū tabiyat machal machal gaī
nazreṅ milī kyā kisīse ke hālat badal badal gaī
kal tak hamārā na pūchh kaisā hāl thā
miltī kahīṅ āṇkh dil ko ye malāl thā
usne jo dekhā to hasrat nikal gaī
sun pyāre apnī to kismat badal gayī
kaisī hai ulfat kī dillgī ye hamanśhīṅ
vo ho gaī merī aur use khabar nahīṅ
jālim mohabbat bhī kyā chāl chal gaī
sun pyāre apnī to kismat badal gayī
miltī hai āhaṭ sī pyāre uske pāṇv kī
dil meṅ chamaktī hai bijliyāṇ adāoṅ kī
hogā ujālā kī ab rāt ḍhal gayī
sun pyār apnī to kismat badal gayī