दिल ने सोचा था तुम बिल्कुल वैसी हो
दिल ने सोचा था तुम बिल्कुल वैसी हो
दिल ने जो सोचा था तुम बिल्कुल वैसी हो
मुझसे करोगी क्या दोस्ती
दिल ने सोचा था …
दिल मेरा मुझसे जो चाहे जान-ए-जां मुझको हुआ है
रह न सकूँ तेरे बिन ये अहसास होने लगा है
दीवाना है दिल बस तू है मंज़िल
दे मुझे एक नज़र प्यार की
दिल ने सोचा था …
पहली नज़र से ही तुम पे आया कसम से मेरा दिल
बोले कई झूठ मैने बस तुमको पाने की खातिर
अब बस तेरी बाहों में जीना है मरना है
तुमसे है सनम मेरी खुशी
दिल ने सोचा था …
मैं तो गरीब आदमी हूँ महलों में रहता नहीं
वो खेल या दिल्लगी थी अब मैं झूठ कहता नहीं हूँ
ना मेरा बंगला है ना गाड़ी है
मगर कमी नहीं प्यार की
दिल ने सोचा था …
dil ne sochā thā tum bilkul vaisī ho
dil ne jo sochā thā tum bilkul vaisī ho
mujhse karogī kyā dostī
dil ne sochā thā …
dil merā mujhse jo chāhe jān-e-jāṅ mujhko huā hai
rah na sakūṇ tere bin ye ahsās hone lagā hai
dīvānā hai dil bas tū hai maṅzil
de mujhe ek nazar pyār kī
dil ne sochā thā …
pahlī nazar se hī tum pe āyā kasam se merā dil
bole kaī jhūṭh maine bas tumko pāne kī khātir
ab bas terī bāhoṅ meṅ jīnā hai marnā hai
tumse hai sanam merī khuśhī
dil ne sochā thā …
maiṅ to garīb ādmī hūṇ mahloṅ meṅ rahtā nahīṅ
vo khel yā dillgī thī ab maiṅ jhūṭh kahtā nahīṅ hūṇ
nā merā baṅglā hai nā gāṛī hai
magar kamī nahīṅ pyār kī
dil ne sochā thā …