Dil meraa tumhaaree adaaen le gaeen

दिल मेरा तुम्हारी अदाएँ ले गईं
Work
Year
Language

दिल मेरा तुम्हारी अदाएँ ले गईं -2
दिल छीन लेने वाली निगाहें ले गईं
दिल मेरा तुम्हारी …

मुखड़े पे गिरती ये ज़ुल्फ़ें संभालिए
नाज़ुक है दिल मेरा यूँ ना उछालिए
जाँ मेरी ये क़ातिल जफ़ाएँ ले गईं
दिल मेरा तुम्हारी …

फ़स्ल-ए-बहार है दिन हैं शबाब के
पाँव ज़मीं पर नहीं पड़ते जनाब के
बहारें तो बढ़के बलाएँ ले गईं
दिल मेरा तुम्हारी …

बिजली गिराओगे या फ़ितने जगाओगे
घबरा के मेरी ही बाँहों में आओगे
ये बाज़ी तो मेरी दुआएँ ले गईं
दिल मेरा तुम्हारी …

dil merā tumhārī adāeṇ le gaīṅ -2
dil chhīn lene vālī nigāheṅ le gaīṅ
dil merā tumhārī …

mukhaṛe pe girtī ye zulfeṅ saṅbhālie
nāzuk hai dil merā yūṇ nā uchhālie
jāṇ merī ye qātil jafāeṇ le gaīṅ
dil merā tumhārī …

fasl-e-bahār hai din haiṅ śhabāb ke
pāṇv zamīṅ par nahīṅ paṛte janāb ke
bahāreṅ to baṛhke balāeṇ le gaīṅ
dil merā tumhārī …

bijlī girāoge yā fitne jagāoge
ghabrā ke merī hī bāṇhoṅ meṅ āoge
ye bāzī to merī duāeṇ le gaīṅ
dil merā tumhārī …