Dil lootnevaale jaadoogr

दिल लूटनेवाले जादूगर
Work
Year
Language

दिल लूटनेवाले जादूगर
अब मैंने तुझे पहचाना है
नज़रें तो उठा के देख ज़रा
तेरे सामने यह दीवाना है
यह चाँद सितारें देख ना ले
मेरे प्यार के नाज़ुक बंधन को
आँखों में छुपाकर रख लूँगा
इस फूल से कोमल तनमन को
धीरे से कहो यह बात पिया
जग अपना नहीं बेगाना हैं
अरमान था तुझको देखूं मैं
सावन की नशीली रातों में
खो जाये पिया हम तुम दोनो
इन प्यार की मीठी बातों में
तू सामने है तो सब कुछ है
वर्ना तो यह चमन वीराना है
मैं प्यार की माला गुंधूंगी
आशाओं की कलियाँ चुन चुन के
रूठे ना कहीं मुझसे दुनिया
ये बात तुम्हारी सुन सुन के
अरमान भरे दिलवालों ने
दुनिया का कहा कब माना है

dil lūṭnevāle jādūgar
ab maiṅne tujhe pahchānā hai
nazreṅ to uṭhā ke dekh zarā
tere sāmne yah dīvānā hai
yah chāṇd sitāreṅ dekh nā le
mere pyār ke nāzuk baṅdhan ko
āṇkhoṅ meṅ chhupākar rakh lūṇgā
is phūl se komal tanaman ko
dhīre se kaho yah bāt piyā
jag apnā nahīṅ begānā haiṅ
armān thā tujhko dekhūṅ maiṅ
sāvan kī naśhīlī rātoṅ meṅ
kho jāye piyā ham tum dono
in pyār kī mīṭhī bātoṅ meṅ
tū sāmne hai to sab kuchh hai
varnā to yah chaman vīrānā hai
maiṅ pyār kī mālā guṅdhūṅgī
āśhāoṅ kī kaliyāṇ chun chun ke
rūṭhe nā kahīṅ mujhse duniyā
ye bāt tumhārī sun sun ke
armān bhare dilvāloṅ ne
duniyā kā kahā kab mānā hai