Dil lootne vaale jaadoogar ab maine tujhe pahchaanaa hai

दिल लूटने वाले जादूगर अब मैने तुझे पहचाना है
Work
Year
Language

ल: दिल लूटने वाले जादूगर
अब मैने तुझे पहचाना है
मु: नज़रें तो उठा के देख ज़रा
तेरे सामने ये दीवाना है

ल: ये चाँद-सितारे देख न लें
मेरे प्यार के नाज़ुक बंधन को
मु: आँखों में छुपाकर रख लूँगा
इस फूल से कोमल तन-मन को
ल: ( धीरे से ) -2 कहो ये बात पिया
जग अपना नहीं बेगाना है
मु: नज़रें तो उठा के …

अरमान था तुझको देखूँ मैं
सावन की नशीली रातों में
ल: खो जाएँ पिया हम-तुम दोनों
इन प्यार की मीठी बातों में
मु: ( तू सामने ) -2 है तो सब कुछ है
वरना ये चमन वीराना है

ल: मैं प्यार की माला गूथूंगी
आँसुओं की कलियाँ चुन-चुन के
मु: रूठे न कहीं मुझसे दुनिया
यह बात तुम्हारी सुन-सुन के
दो: अरमान भरे दिलवालों का
दुनिया ने कहा कब माना है
ल: दिल लूटने वाले …
मु: नज़रें तो उठा के …

la: dil lūṭne vāle jādūgar
ab maine tujhe pahchānā hai
mu: nazreṅ to uṭhā ke dekh zarā
tere sāmne ye dīvānā hai

la: ye chāṇd-sitāre dekh na leṅ
mere pyār ke nāzuk baṅdhan ko
mu: āṇkhoṅ meṅ chhupākar rakh lūṇgā
is phūl se komal tan-man ko
la: ( dhīre se ) -2 kaho ye bāt piyā
jag apnā nahīṅ begānā hai
mu: nazreṅ to uṭhā ke …

armān thā tujhko dekhūṇ maiṅ
sāvan kī naśhīlī rātoṅ meṅ
la: kho jāeṇ piyā ham-tum donoṅ
in pyār kī mīṭhī bātoṅ meṅ
mu: ( tū sāmne ) -2 hai to sab kuchh hai
varnā ye chaman vīrānā hai

la: maiṅ pyār kī mālā gūthūṅgī
āṇsuoṅ kī kaliyāṇ chun-chun ke
mu: rūṭhe na kahīṅ mujhse duniyā
yah bāt tumhārī sun-sun ke
do: armān bhare dilvāloṅ kā
duniyā ne kahā kab mānā hai
la: dil lūṭne vāle …
mu: nazreṅ to uṭhā ke …