Dil le ke dil diyaa hai ehsaan k‌yaa kiyaa hai

दिल ले के दिल दिया है एहसान क्‌या किया है
Work
Year
Language

ल: दिल ले के दिल दिया है एहसान क्‌या किया है
इतना गुरूर कैसा क्‌या मुफ़्त दे दिया है

र: क़ुरबान इस अदा के फिर देख मुस्कुरा के
नज़रों से दिल उड़ा के क़ब्ज़ा जमा लिया है
ल: दिल ले के दिल दिया है एहसान क्‌या किया है

ल: दो मस्त नैन तेरे दो मस्त नैन मेरे
दोनों ने चार हो के इक दिल चुरा लिया है
र: दिल ले के दिल दिया है एहसान क्‌या किया है

र: तारों से कोई पूछे बेचैनियाँ हमारी
जिस दिन से दिल दिया है इक दर्द ले लिया है
दो: दिल ले के दिल दिया है एहसान क्‌या किया है

la: dil le ke dil diyā hai ehsān k‌yā kiyā hai
itnā gurūr kaisā k‌yā muft de diyā hai

ra: qurbān is adā ke phir dekh muskurā ke
nazroṅ se dil uṛā ke qabzā jamā liyā hai
la: dil le ke dil diyā hai ehsān k‌yā kiyā hai

la: do mast nain tere do mast nain mere
donoṅ ne chār ho ke ik dil churā liyā hai
ra: dil le ke dil diyā hai ehsān k‌yā kiyā hai

ra: tāroṅ se koī pūchhe bechainiyāṇ hamārī
jis din se dil diyā hai ik dard le liyā hai
do: dil le ke dil diyā hai ehsān k‌yā kiyā hai