Dil le ke chale to naheen jaaoge

दिल ले के चले तो नहीं जाओगे
Work
Year
Language

दिल ले के चले तो नहीं जाओगे -2
राजा जी हो राजा जी -2

प्यार को गुदगुदाया है तुमने -2
मोहे अपना बनाया है तुमने -2
नज़रों से तो नाहीं गिरावोगे -2

राजा जी हो राजा जी
दिल ले के चले तो नहीं जाओगे
राजा जी हो राजा जी

( तुमसे नैना मिले खो गई मैं
जागते-जागते सो गई मैं ) -2
इस निंदिया से तो न जगावोगे -2

राजा जी हो राजा जी
दिल ले के चले तो नहीं जाओगे
राजा जी हो राजा जी

घर जहाँ है मोहब्बत वहीं है -2
घर बिना प्यार कुछ भी नहीं है -2
निरधन पे ज़ुलम तो नहीं ढावोगे -2

राजा जी हो राजा जी
दिल ले के चले तो नहीं जाओगे
राजा जी हो राजा जी

dil le ke chale to nahīṅ jāoge -2
rājā jī ho rājā jī -2

pyār ko gudgudāyā hai tumne -2
mohe apnā banāyā hai tumne -2
nazroṅ se to nāhīṅ girāvoge -2

rājā jī ho rājā jī
dil le ke chale to nahīṅ jāoge
rājā jī ho rājā jī

( tumse nainā mile kho gaī maiṅ
jāgte-jāgte so gaī maiṅ ) -2
is niṅdiyā se to na jagāvoge -2

rājā jī ho rājā jī
dil le ke chale to nahīṅ jāoge
rājā jī ho rājā jī

ghar jahāṇ hai mohabbat vahīṅ hai -2
ghar binā pyār kuchh bhī nahīṅ hai -2
nirdhan pe zulam to nahīṅ ḍhāvoge -2

rājā jī ho rājā jī
dil le ke chale to nahīṅ jāoge
rājā jī ho rājā jī