Dil le gaee le gaee ek chulbulee chulbulee naazneen

दिल ले गई ले गई एक चुलबुली चुलबुली नाज़नीं
Work
Year
Language

दिल ले गई ले गई एक चुलबुली चुलबुली नाज़नीं
मुखड़ा है ऐसा उस जालम का
हुस्न भरा है सारे आलम का
दिल ले गई …

उसके काजल बिना नैन काले और काजल लगाए तो क्‌या हो
उसके हाथों में सुर्ख़ी चमन की और मेंहदी लगा ले तो क्‌या हो
दिल ले गई …

जितना ग़ुस्सा करे वो हसीना और निखरे है उसकी जवानी
रंग आता है गोरे बदन पर जैसे चाँदी पे सोने का पानी
दिल ले गई …

कितनी नाज़ुक है वो छुई-मुई अपने आँचल में ख़ुद दब रही है
एक चम्पा सी मदहोश डाली अपने फूलों से ख़ुद झुक रही है
दिल ले गई …

dil le gaī le gaī ek chulbulī chulbulī nāznīṅ
mukhaṛā hai aisā us jālam kā
husn bharā hai sāre ālam kā
dil le gaī …

uske kājal binā nain kāle aur kājal lagāe to k‌yā ho
uske hāthoṅ meṅ surkhī chaman kī aur meṅhdī lagā le to k‌yā ho
dil le gaī …

jitnā ġhussā kare vo hasīnā aur nikhre hai uskī javānī
raṅg ātā hai gore badan par jaise chāṇdī pe sone kā pānī
dil le gaī …

kitnī nāzuk hai vo chhuī-muī apne āṇchal meṅ khud dab rahī hai
ek champā sī madhośh ḍālī apne phūloṅ se khud jhuk rahī hai
dil le gaī …