Dil k‌yon dharaktaa hai k‌yon pyaar hotaa hai

दिल क्‌यों धड़कता है क्‌यों प्यार होता है
Work
Year
Language

दिल क्‌यों धड़कता है क्‌यों प्यार होता है
सीने में दर्द क्‌यों बार बार होता है
दिल क्‌यों धड़कता है …

दिल में अगर अपने होती न ये धड़कन
तो ज़िंदगी भर हम दोनों अजनबी रहते
ये प्यार की बातें हम जानते कैसे
हर साँस ये कहती तू पास मेरे रहती
फिर भी मुझे तेरा इंतज़ार होता है
दिल क्‌यों धड़कता है …

अब तो नहीं मिलती अपनी खबर मुझको
तेरे ख्यालों में हम इस कदर खोये
पढ़कर किताबों को रातें गुज़ारीं हमने
जब से मुहब्बत की जी भर नहीं सोये
इस उम्र में सब का ये हाल होता है
क्‌यों प्यार होता है …

dil k‌yoṅ dhaṛaktā hai k‌yoṅ pyār hotā hai
sīne meṅ dard k‌yoṅ bār bār hotā hai
dil k‌yoṅ dhaṛaktā hai …

dil meṅ agar apne hotī na ye dhaṛkan
to ziṅdgī bhar ham donoṅ ajanbī rahte
ye pyār kī bāteṅ ham jānte kaise
har sāṇs ye kahtī tū pās mere rahtī
phir bhī mujhe terā iṅtazār hotā hai
dil k‌yoṅ dhaṛaktā hai …

ab to nahīṅ miltī apnī khabar mujhko
tere khyāloṅ meṅ ham is kadar khoye
paṛhkar kitāboṅ ko rāteṅ guzārīṅ hamne
jab se muhabbat kī jī bhar nahīṅ soye
is umr meṅ sab kā ye hāl hotā hai
k‌yoṅ pyār hotā hai …