Dil ko teree tasveer se bahlaae hue hain

दिल को तेरी तस्वीर से बहलाए हुए हैं
Work
Year
Language

दिल को हाय
दिल को तेरी तस्वीर से बहलाए हुए हैं
इस घर में हम इक चाँद को चमकाए हुए हैं

अब कौन सी दौलत है जो तक़दीर से माँगे
उल्फ़त ही बड़ी चीज़ थी जो पाए हुए हैं

जब तू है ख़्यालों में तो दुनिया से हमें क्‌या
दुनिया को तेरी याद में ठुकराए हुए हैं

मिटकर भी न दामन तेरा हाथों से छूटेगा
हम तेरी मोहब्बत की क़सम खाए हुए हैं

dil ko hāy
dil ko terī tasvīr se bahlāe hue haiṅ
is ghar meṅ ham ik chāṇd ko chamkāe hue haiṅ

ab kaun sī daulat hai jo taqdīr se māṇge
ulfat hī baṛī chīz thī jo pāe hue haiṅ

jab tū hai khyāloṅ meṅ to duniyā se hameṅ k‌yā
duniyā ko terī yād meṅ ṭhukrāe hue haiṅ

miṭkar bhī na dāman terā hāthoṅ se chhūṭegā
ham terī mohabbat kī qasam khāe hue haiṅ