Dil ko tarapnaa ... o dene vaale ye k‌yaa diyaa

दिल को तड़पना ... ओ देने वाले ये क्‌या दिया
Year
Language

दिल को तड़पना आँखों को रोना
क़िस्मत में लिखा बरबाद होना
ओ देने वाले ये क्‌या दिया -4

( मेरा चमन है कलियों से ख़ाली
ये क्‌या किया ओ दुनिया के माली ) -2
फूलों का सपना काँठों पे सोना -2
हाय काँठों पे सोना
ओ देने वाले ये क्‌या दिया -4

( देख लिया तेरी दुनिया का मेला
सबके हैं साथी मेरा दिल है अकेला ) -2
मेरे लिये है रोना ही रोना -2
हाय रोना ही रोना
ओ देने वाले ये क्‌या दिया -4

dil ko taṛapnā āṇkhoṅ ko ronā
qismat meṅ likhā barbād honā
o dene vāle ye k‌yā diyā -4

( merā chaman hai kaliyoṅ se khālī
ye k‌yā kiyā o duniyā ke mālī ) -2
phūloṅ kā sapnā kāṇṭhoṅ pe sonā -2
hāy kāṇṭhoṅ pe sonā
o dene vāle ye k‌yā diyā -4

( dekh liyā terī duniyā kā melā
sabke haiṅ sāthī merā dil hai akelā ) -2
mere liye hai ronā hī ronā -2
hāy ronā hī ronā
o dene vāle ye k‌yā diyā -4