Dil ko laakh sambhaalaa jee phir bhee dil

दिल को लाख सम्भाला जी फिर भी दिल्
Year
Language

दिल को लाख सम्भाला जी फिर भी दिल मतवाला जी
कल तक मेरा था आज क्‌यों तेरा हो गया

पहली मुलाकात में हमने न जाना छोटी सी ये बात बनेगी अफ़साना
पर तेरे प्यार में पहली ही बार में मेरा ये भोला सा दिल खो गया
दिल को लाख सम्भाला …

चोर करे चोरी जी नज़रें चुरा के तूने मुझे लूटा है नज़रें मिला के
मुझको न होश था दिल मदहोश था ना जाने कैसे ये जादू हो गया
दिल को लाख सम्भाला …

छोड़ो मेरा हाथ बुरा है ज़माना कहीं हमें देख न ले कोई बेगाना
देखो जी प्यार का टेढ़ा है रास्ता दो दिल मिले बैरी जग हो गया
दिल को लाख सम्भाला …

dil ko lākh sambhālā jī phir bhī dil matvālā jī
kal tak merā thā āj k‌yoṅ terā ho gayā

pahlī mulākāt meṅ hamne na jānā chhoṭī sī ye bāt banegī afsānā
par tere pyār meṅ pahlī hī bār meṅ merā ye bholā sā dil kho gayā
dil ko lākh sambhālā …

chor kare chorī jī nazreṅ churā ke tūne mujhe lūṭā hai nazreṅ milā ke
mujhko na hośh thā dil madhośh thā nā jāne kaise ye jādū ho gayā
dil ko lākh sambhālā …

chhoṛo merā hāth burā hai zamānā kahīṅ hameṅ dekh na le koī begānā
dekho jī pyār kā ṭeṛhā hai rāstā do dil mile bairī jag ho gayā
dil ko lākh sambhālā …