Is dil kee haalat k‌yaa kahiye

इस दिल की हालत क्‌या कहिये
Work
Year
Language

इस दिल की हालत क्‌या कहिये
जो शाद भी है नाशाद भी है
इस दिल की हालत क्‌या कहिये
जो शाद भी है नाशाद भी है

कुछ खो भी दिया कुच पा भी लिया
कुछ खो भी दिया कुच पा भी लिया
इक राग खुशी ने गा भी लिया
और होँठों पे फ़रियाद भी है
दिल शाद भी है नाशाद भी है

इस दिल की हालत क्‌या कहिये
जो शाद भी है नाशाद भी है

बुझते हैं चिराग़
बुझते हैं चिराग़ उठता है धुआँ
सीने में बसा है ग़म का जहाँ
आबाद भी है बरबाद भी है
दिल शाद भी है नाशाद भी है

इस दिल की हालत क्‌या कहिये
जो शाद भी है नाशाद भी है

चाहत का ज़माना देखा था
चाहत का ज़माना देखा था
इक ख़्वाब सुहाना देखा था
कुछ भूल गये कुछ याद भी है
दिल शाद भी है नाशाद भी है

इस दिल की हालत क्‌या कहिये
जो शाद भी है नाशाद भी है

is dil kī hālat k‌yā kahiye
jo śhād bhī hai nāśhād bhī hai
is dil kī hālat k‌yā kahiye
jo śhād bhī hai nāśhād bhī hai

kuchh kho bhī diyā kuch pā bhī liyā
kuchh kho bhī diyā kuch pā bhī liyā
ik rāg khuśhī ne gā bhī liyā
aur hoṇṭhoṅ pe fariyād bhī hai
dil śhād bhī hai nāśhād bhī hai

is dil kī hālat k‌yā kahiye
jo śhād bhī hai nāśhād bhī hai

bujhte haiṅ chirāġh
bujhte haiṅ chirāġh uṭhtā hai dhuāṇ
sīne meṅ basā hai ġham kā jahāṇ
ābād bhī hai barbād bhī hai
dil śhād bhī hai nāśhād bhī hai

is dil kī hālat k‌yā kahiye
jo śhād bhī hai nāśhād bhī hai

chāhat kā zamānā dekhā thā
chāhat kā zamānā dekhā thā
ik khvāb suhānā dekhā thā
kuchh bhūl gaye kuchh yād bhī hai
dil śhād bhī hai nāśhād bhī hai

is dil kī hālat k‌yā kahiye
jo śhād bhī hai nāśhād bhī hai