Dil kee duniyaa jo lutaa dee tere deevaanon ne

दिल की दुनिया जो लुटा दी तेरे दीवानों ने
Work
Year
Language

दिल की दुनिया जो लुटा दी तेरे दीवानों ने
फिर से आबाद उसे कर दिया अरमानों ने

दश्त में उड़ती हैं चिंगारियाँ जुगनू बन कर
शमा को उड़ना है सिखला दिया परवानों ने

दास्ताँ सुन के चट्टानों से हैं फूटे चष्मे
पत्थरों को है रुलाया मेरे अफ़सानों ने

मेरे तलवों का लहू चूस के गुल बन बैठे
ख़ार जो राह में बिछाये थे बिया-बानों ने

dil kī duniyā jo luṭā dī tere dīvānoṅ ne
phir se ābād use kar diyā armānoṅ ne

daśht meṅ uṛtī haiṅ chiṅgāriyāṇ jugnū ban kar
śhamā ko uṛnā hai sikhlā diyā parvānoṅ ne

dāstāṇ sun ke chaṭṭānoṅ se haiṅ phūṭe chaṣhme
patthroṅ ko hai rulāyā mere afsānoṅ ne

mere talvoṅ kā lahū chūs ke gul ban baiṭhe
khār jo rāh meṅ bichhāye the biyā-bānoṅ ne