Dil kee aavaaz bhee sun mere phasaane pe na jaa

दिल की आवाज़ भी सुन मेरे फसाने पे न जा
Work
Year
Language

दिल की आवाज़ भी सुन मेरे फसाने पे न जा
मेरी नज़रों की तरफ देख जमाने पे न जा

एक नज़र देख ले, जीने की इजाज़त दे दे
रूठनेवाले वो पहली सी मोहब्बत दे दे
इश्क मासूम है, इल्ज़ाम लगाने पे न जा

वक्त इन्सान पे ऐसा भी कभी आता है
राह में छोड़ के साया भी चला जाता है
दिन भी निकलेगा कभी, रात के आने पे न जा

मैं हक़ीकत हूँ, ये एक रोज दिखाऊँगा तुझे
बेगुनाही पे मोहब्बत की रुलाऊँगा तुझे
दाग दिल के नहीं मिटते हैं, मिटाने पे न जा

dil kī āvāz bhī sun mere phasāne pe na jā
merī nazroṅ kī taraph dekh jamāne pe na jā

ek nazar dekh le, jīne kī ijāzat de de
rūṭhnevāle vo pahlī sī mohabbat de de
iśhk māsūm hai, ilzām lagāne pe na jā

vakt insān pe aisā bhī kabhī ātā hai
rāh meṅ chhoṛ ke sāyā bhī chalā jātā hai
din bhī niklegā kabhī, rāt ke āne pe na jā

maiṅ haqīkat hūṇ, ye ek roj dikhāūṇgā tujhe
begunāhī pe mohabbat kī rulāūṇgā tujhe
dāg dil ke nahīṅ miṭte haiṅ, miṭāne pe na jā