Dil kee aavaaz bhee sun, mere fasaane pe na jaa

दिल की आवाज़ भी सुन, मेरे फ़साने पे न जा
Work
Year
Language

दिल की आवाज़ भी सुन मेरे फ़साने पे न जा
मेरी नज़रों की तरफ़ देख ज़माने पे न जा

इक नज़र फ़ेर ले जीने की इजाज़त दे दे
रूठने वाले वो पहली सी मुहब्बत दे दे
(इश्क़ मासूम है - 2), इलज़ाम लगाने पे न जा

वक़्त इनसान पे ऐसा भी कभी आता है
राह में छोड़के साया भी चला जाता है
(दिन भी निकलेगा कभी - 2), रात के आने पे न जा

मैं हक़ीक़त हूँ ये इक रोज़ दिखाऊँगा तुझे
बेगुनाही पे मुहब्बत की रुलाऊँगा तुझे
दाग दिल के नहीं मिटते हैं मिटाने पे न जा

dil kī āvāz bhī sun mere fasāne pe na jā
merī nazroṅ kī taraf dekh zamāne pe na jā

ik nazar fer le jīne kī ijāzat de de
rūṭhne vāle vo pahlī sī muhabbat de de
(iśhq māsūm hai - 2), ilazām lagāne pe na jā

vaqt insān pe aisā bhī kabhī ātā hai
rāh meṅ chhoṛke sāyā bhī chalā jātā hai
(din bhī niklegā kabhī - 2), rāt ke āne pe na jā

maiṅ haqīqat hūṇ ye ik roz dikhāūṇgā tujhe
begunāhī pe muhabbat kī rulāūṇgā tujhe
dāg dil ke nahīṅ miṭte haiṅ miṭāne pe na jā