दिल आज शायर है, ग़म आज नग़मा है
दिल आज शायर है, ग़म आज नग़मा है
शब ये ग़ज़ल है सनम
गैरों के शेरों को ओ सुनने वाले
हो इस तरफ़ भी करम
(आके ज़रा देख तो तेरी खातिर
हम किस तरह से जिये) - 2
आँसू के धागे से सीते रहे हम
जो ज़ख्म तूने दिये
चाहत की महफ़िल में ग़म तेरा लेकर
क़िस्मत से खेला जुआ
दुनिया से जीते पर तुझसे हारे
यूँ खेल अपना हुआ …
(ये प्यार हमने किया जिस तरह से
उसका न कोई जवाब) - 2
ज़र्रा थे लेकिन तेरी लौ में जलकर
हम बन गए आफ़ताब
हमसे है ज़िंदा वफ़ा और हम ही से
है तेरी महफ़िल जवाँ
जब हम न होंगे तो रो रोके दुनिया
ढूँढेगी मेरे निशां …
(ये प्यार कोई खिलौना नहीं है
हर कोई ले जो खरीद) - 2
मेरी तरह ज़िंदगी भर तड़प लो
फिर आना इसके करीब
हम तो मुसाफ़िर हैं कोई सफ़र हो
हम तो गुज़र जाएंगे ही
लेकिन लगाया है जो दांव हमने
वो जीत कर आएंगे ही …
dil āj śhāyar hai, ġham āj naġhmā hai
śhab ye ġhazal hai sanam
gairoṅ ke śheroṅ ko o sunne vāle
ho is taraf bhī karam
(āke zarā dekh to terī khātir
ham kis tarah se jiye) - 2
āṇsū ke dhāge se sīte rahe ham
jo zakhm tūne diye
chāhat kī mahafil meṅ ġham terā lekar
qismat se khelā juā
duniyā se jīte par tujhse hāre
yūṇ khel apnā huā …
(ye pyār hamne kiyā jis tarah se
uskā na koī javāb) - 2
zarrā the lekin terī lau meṅ jalkar
ham ban gae āftāb
hamse hai ziṅdā vafā aur ham hī se
hai terī mahafil javāṇ
jab ham na hoṅge to ro roke duniyā
ḍhūṇḍhegī mere niśhāṅ …
(ye pyār koī khilaunā nahīṅ hai
har koī le jo kharīd) - 2
merī tarah ziṅdgī bhar taṛap lo
phir ānā iske karīb
ham to musāfir haiṅ koī safar ho
ham to guzar jāeṅge hī
lekin lagāyā hai jo dāṅv hamne
vo jīt kar āeṅge hī …