धीमी धीमी है, मीठी मीठी है, धीमी धीमी है क्यों हवा
मिलके आई है, मस्ती छाई है, फूल लाई है, खुशनुमा
(महक रहे हैं दिल जिगर, न होश है न है खबर)-2
(कहीं पे दिल, कहीं पे हम, है कुछ खुशी, तो कुछ है ग़म)-2
नया हुआ ये माज़रा
धीमी धीमी है …
(खिली है जो कली कली, महकती है गली गली)-2
(ये कह रही हैं बुलबुलें, सनम के घर चलो चलें)-2
बहार का मिले (?)
धीमी धीमी है …
dhīmī dhīmī hai, mīṭhī mīṭhī hai, dhīmī dhīmī hai kyoṅ havā
milke āī hai, mastī chhāī hai, phūl lāī hai, khuśhnumā
(mahak rahe haiṅ dil jigar, na hośh hai na hai khabar)-2
(kahīṅ pe dil, kahīṅ pe ham, hai kuchh khuśhī, to kuchh hai ġham)-2
nayā huā ye māzrā
dhīmī dhīmī hai …
(khilī hai jo kalī kalī, mahaktī hai galī galī)-2
(ye kah rahī haiṅ bulbuleṅ, sanam ke ghar chalo chaleṅ)-2
bahār kā mile (?)
dhīmī dhīmī hai …