Dhak dhak dhak, jiyaa kare dhak‌

धक धक धक, जिया करे धक्‌
Work
Year
Language

धक धक धक जिया करे धक
अखियों में अखियाँ डालके न तक

सुनो री ओ गोरी तू ने चोरी चोरी
दिल की कहानी आँखों की ज़बानी
कह दी बलम से अपने सनम से
झुकी झुकी अखियों से होता है शक़
अखियों में अखियाँ डालके न तक

युँ न शरमाओ जी ज़रा खुल जाओ जी
छोड़ो जी छोड़ो मुखड़ा न मोड़ो
हमसे भी थोड़ी थोड़ी अखियाँ मिलाओ जी
देखें भला करोगे ये ज़िद्द कब तक
अखियों में अखियाँ डालके न तक

सच सच कहो बात्! कहो बात्! कैसी हुई मुलाक़ात? मुलाक़ात?
जानते हो कब से ? कब से? कि अब से
हम से छुपाओगे तो बचके न जाओगे
आगे तुम पीछे हम जाओगे थक
अखियों में अखियाँ डालके न तक

धक धक धक जिया करे धक
अखियों में अखियाँ डालके न तक्‌

dhak dhak dhak jiyā kare dhak
akhiyoṅ meṅ akhiyāṇ ḍālke na tak

suno rī o gorī tū ne chorī chorī
dil kī kahānī āṇkhoṅ kī zabānī
kah dī balam se apne sanam se
jhukī jhukī akhiyoṅ se hotā hai śhaq
akhiyoṅ meṅ akhiyāṇ ḍālke na tak

yuṇ na śharmāo jī zarā khul jāo jī
chhoṛo jī chhoṛo mukhaṛā na moṛo
hamse bhī thoṛī thoṛī akhiyāṇ milāo jī
dekheṅ bhalā karoge ye zidd kab tak
akhiyoṅ meṅ akhiyāṇ ḍālke na tak

sach sach kaho bāt! kaho bāt! kaisī huī mulāqāt? mulāqāt?
jānte ho kab se ? kab se? ki ab se
ham se chhupāoge to bachke na jāoge
āge tum pīchhe ham jāoge thak
akhiyoṅ meṅ akhiyāṇ ḍālke na tak

dhak dhak dhak jiyā kare dhak
akhiyoṅ meṅ akhiyāṇ ḍālke na tak‌