Dekho vo chaand chhupke kartaa hai kyaa ishaare

देखो वो चाँद छुपके करता है क्या इशारे
Work
Year
Language

देखो वो चाँद छुपके करता है क्या इशारे
शायद ये कह रहा है, हम हो गये तुम्हारे

उल्फत का आज हम ने इकरार कर लिया है
लेकिन ये कौन जाने, किस्मत में क्या लिखा है
मंज़िल को चल पड़े हैं, तकदीर के सहारे

ऐसा ना हो के हम को रस्ते में छोड़ जाओ
जा कर कही किसी की दुनिया नई बसाओ
मजधार में रहे हम लग जाओ तुम किनारे

दिल में सिवा तुम्हारे कोई नहीं हमारें
ये अपने दिल से पूछो, क्या दिल में है तुम्हारे
देंगे मेरी गवाही कुदरत के ये नज़ारे

dekho vo chāṇd chhupke kartā hai kyā iśhāre
śhāyad ye kah rahā hai, ham ho gaye tumhāre

ulphat kā āj ham ne ikrār kar liyā hai
lekin ye kaun jāne, kismat meṅ kyā likhā hai
maṅzil ko chal paṛe haiṅ, takdīr ke sahāre

aisā nā ho ke ham ko raste meṅ chhoṛ jāo
jā kar kahī kisī kī duniyā naī basāo
majdhār meṅ rahe ham lag jāo tum kināre

dil meṅ sivā tumhāre koī nahīṅ hamāreṅ
ye apne dil se pūchho, kyā dil meṅ hai tumhāre
deṅge merī gavāhī kudarat ke ye nazāre