Dekho jee, meraa jeeyaa churaae liye jaae

देखो जी, मेरा जीया चुराए लिये जाए
Work
Year
Language

देखो जी, मेरा जीया चुराए लिये जाए - 2

नाम न जानूँ, धाम न जानूँ - 2
क्‌या होगा अंजाम न जानूँ
मन पंछी घबराए
ए री मेरा जीया चुराए लिये जाए
देखो जी …

नैन कहे हम ने धन पाया
मन कोसे मोहे किया पराया
प्रीत ठुमक मुस्काए
ए री मेरा जीया चुराए लिये जाए
देखो जी …

रसिया साधू कर गया जादू - 2
न तन पे न मन पे काबू
धूलि रामा के भर्माए
ए री मेरा जीया चुराए लिये जाए
देखो जी …

dekho jī, merā jīyā churāe liye jāe - 2

nām na jānūṇ, dhām na jānūṇ - 2
k‌yā hogā aṅjām na jānūṇ
man paṅchhī ghabrāe
e rī merā jīyā churāe liye jāe
dekho jī …

nain kahe ham ne dhan pāyā
man kose mohe kiyā parāyā
prīt ṭhumak muskāe
e rī merā jīyā churāe liye jāe
dekho jī …

rasiyā sādhū kar gayā jādū - 2
na tan pe na man pe kābū
dhūli rāmā ke bharmāe
e rī merā jīyā churāe liye jāe
dekho jī …