Dekho jee ek baalaa jogee matvaalaa jogee

देखो जी एक बाला जोगी मतवाला जोगी
Work
Year
Language

देखो जी एक बाला जोगी मतवाला जोगी
द्वार तेरे आयो री
देखो जी एक बाला जोगी …

आया हूँ द्वार तेरे मिलने की आस लिए
तेरे दरस की मैं अँखियों में प्यास लिए
नैनों के पट खोल दीवानी कुछ तो बोल दीवानी
मुखड़ा काहे छुपायो रे
देखो जी एक बाला जोगी …

न किसी देस का है न किसी गाँव का है
मिलने का सहारा ले के इकतारा ले के
मन का राग सुनायो री
देखो जी एक बाला जोगी …

काहे ये रूप धारा कोई न भेद जाने
तू मेरी मैं तेरा यह दुनिया माने न माने
मैने तो तेरा हो के दीवाना देखा सारा ज़माना
चैन कहीं ना पायोरी
देखो जी एक बाला जोगी …

dekho jī ek bālā jogī matvālā jogī
dvār tere āyo rī
dekho jī ek bālā jogī …

āyā hūṇ dvār tere milne kī ās lie
tere daras kī maiṅ aṇkhiyoṅ meṅ pyās lie
nainoṅ ke paṭ khol dīvānī kuchh to bol dīvānī
mukhaṛā kāhe chhupāyo re
dekho jī ek bālā jogī …

na kisī des kā hai na kisī gāṇv kā hai
milne kā sahārā le ke iktārā le ke
man kā rāg sunāyo rī
dekho jī ek bālā jogī …

kāhe ye rūp dhārā koī na bhed jāne
tū merī maiṅ terā yah duniyā māne na māne
maine to terā ho ke dīvānā dekhā sārā zamānā
chain kahīṅ nā pāyorī
dekho jī ek bālā jogī …