Dekho jee dekho ik baar is taraf dekho

देखो जी देखो इक बार इस तरफ़ देखो
Work
Year
Language

देखो जी देखो इक बार इस तरफ़ देखो
ये दिल बना है शीशे का
पत्थर पे इस को मत फेंको
छोड़ो जी छोड़ो ऐसी बनावटी बातें
हम ने तो ऐसी उलझन में
काटी हैं सैंकड़ों रातें

बहारों को आये हुए चार दिन
हमें दिल लगाये हुए चार दिन
देखो न तोड़ो ऐसे सुहाने सपने को
ये दिल बना है शीशे का …

दुआ दो कि ये दिल रहम कर गया
कहो ये कि जादू असर कर गया
जादू है किस का मालूम नहीं अपने को
ये दिल बना है शीशे का …

dekho jī dekho ik bār is taraf dekho
ye dil banā hai śhīśhe kā
patthar pe is ko mat pheṅko
chhoṛo jī chhoṛo aisī banāvṭī bāteṅ
ham ne to aisī uljhan meṅ
kāṭī haiṅ saiṅkaṛoṅ rāteṅ

bahāroṅ ko āye hue chār din
hameṅ dil lagāye hue chār din
dekho na toṛo aise suhāne sapne ko
ye dil banā hai śhīśhe kā …

duā do ki ye dil raham kar gayā
kaho ye ki jādū asar kar gayā
jādū hai kis kā mālūm nahīṅ apne ko
ye dil banā hai śhīśhe kā …